Suno Zara Tum Qareeb Aao
Suno Kabhi Gar Ye Chand Chehra
Dukhon Ke Suraj Ki Garmiyun Se
Suno Agar Zard Parr Jaye
Suno Ke En Jheel Jaisi
Tumhari Aankhon Ki Putliyun Mein
Kabhi Ho Aasaib Ka Basaira
Tu Lot Aana….
Suno Kabhi Gar Tumharay Baalon Ki Badliyun Mein
Kaheen Se Chaandi Utar Bhi Aaye
Tu Ghum Na Karna…
Suno Agar Manzilon Ke Peechhay
Tum Apnay Khwabon Ke Raastay Par
Safar Ko Aadhay Mein Chhorr Jaao
Tu Lot Aana….
Suno Kabhi Gar Ye Kaanch Jaisa Badan Tumhara
Samay Kay Aagay Theher Na Paaye
Tumharay Gaalon Pe Silwatain Hoon
Suno Judai Ke Ratjagon Se
Tumhari Aankhein Jo Soojh Jain
Suno Ke Jab Ye Siyah Kajal
Tumhari Aakhon Mein Phail Jaye
Tu Lot Aana….
Tu Lot Aana….
Mein Tum Ko Jana
Jahan Kharra Hoon
Yaheen Miloon Ga
