Talash

Talaash Uss Ki Hai Jis Ko Kabhi Dekha Bhi Nahin

Khayal Uss Ka Hai Dil Mein Jisay Socha Bhi Nahin

 

Khuda Say Apnay Liyay Iltija Mein Kya Karta

Talab Hai Uss Ki Keh Jis Ko Kabhi Maanga Bhi Nahin

 

Sakoot-E-Dil Mein Ye Ehsaas-E-Zindagi Kya Hai

Qareeb Paata Hun Uss Ko Jisay Chaha Bhi Nahin

 

Qasaas Mujh Se Woh Kis Kay Lahoo Ka Maangtay Hain

Woh Khoon Hai Mere Haaton Pe Jo Baha Bhi Nahin

 

Ilaaj Mujh Se Bhi Mumkin Nahin Mohabbat Ka

Woh Zakhm Hai Mere Seenay Pe Jo Saha Bhi Nahin

One thought on “Talash”

  1. Love these lines
    Ilaaj Mujh Se Bhi Mumkin Nahin Mohabbat Ka

    Woh Zakhm Hai Mere Seenay Pe Jo Saha Bhi Nahin
    very good poetry blog

    Like

Leave a Reply