Hoti Hai Tere Nam Se Wahshat Kabhi Kabhi
Barham Hui Hai Yun Bhi Tabiyat Kabhi Kabhi
Ai Dil Kise Nasib Ye Taufiq-E-Iztirab
Milti Hai Zindagi Main Ye Rahat Kabhi Kabhi
Tere Karam Se Ai Alam-E-Husn-E-Afrin
Dil Ban Gaya Hai Dost Ki Khilwat Kabhi Kabhi
Dil Ko Kahan Nasib Ye Taufiq-E-Iztirab
Milti Hai Zindagi Main Ye Rahat Kabhi Kabhi
Josh-E-Junun Main Dard Ki Tugyaniyon K Sath
Ashkon Main Dhal Gai Teri Surat Kabhi Kabhi
Tere Qarib Rah K Bhi Dil Mutmain Na Tha
Guzri Hai Mujh Pe Bhi Ye Qayamat Kabhi Kabhi
Kuch Apna Hosh Tha Na Tumhara Khayal Tha
Yun Bhi Guzar Gai Shab-E-Furqat Kabhi Kabhi
Ai Dost Ham Ne Tark-E-Muhabbat K Bawajud
Mahsus Ki Hai Teri Zarurat Kabhi Kabhi
